Friday, July 29, 2011

RIP Dad..

I bet they need u there in the Heaven's Railways Micro-processors Deptt..If they have faster micro-processors there, then am sure u would be over the moon and celebrating the fact with a nice cup of garam chai & regaling others with ur wonderful Earth stories in ur dramatic story-telling way.. :)

Woh Liverpool k letters, woh mera favorite salad, woh chinni k parathe, woh Physics ki har cheez ko ek Railway track/train k example se samjana, woh mom ki gossip karna, woh Sunday morning ki jalebi ki shopping karne jana, woh scooty sikhate huay mera aapko girana, woh raat main 3am uth k terrace par celestial event dekna, woh garden main tedhe-medhe plants lagana aur pir daat Khana Maa se, woh Chowk se parrots kharid k lana, woh PC-XT...

woh light jaate hi jhoole par baithe k liy race lagana, woh guest rm k marble floor ko chamkaane ka challenge, woh tanki paint karna aur apne ko Piccaso samajna, woh 'Close-Down' dekna, woh Maa k saamne ek-dosare k liy jhoot bolna, woh chai banwane k liy black-mail karna, woh mera migraine aur aapka seer dabana, woh aapka mere room se casette Lena aur mera rootna, woh mera aapka tiffin roz last minute par bana kar pack karna aur aapka tension Bhara Chehra, woh mera sabjiya 'ban' karna, woh aapke k liy woolen socks knit karna, woh aapka jackets ka craze aur hum sab ka collection dek dek k jalna, woh bees hazaar baar aapka "wahi" news dekna zor se, woh meri choti gori-gori meethi rotiya aapki pasand wali, woh mom ka aapse mithai chupana...

woh gate khol k Rakna main aur meri gaadi k liy, woh mere liy hailstones utha k freeze kar k rakna, woh aapka subah pyaar se uthana beta beta bol k, woh school mai itane saare uniform-clad bacho main apni beti ko pechaan nahi pana, woh dal na khane par daatna, woh Darjeeling ki roads par long walks mom ko hotel room main chod k, woh Tipsy k harkaate k elaborate coverups, woh "thoda prakash daalna beta", woh roz subah jaldi uth k morning walk jaane ka promise aur pir wapis aa k pir soo jana, woh Santa k jokes ki analysis, woh "Hello Papa aur Hello Beta" ka ritual, woh "nahi nahi ye bahut fried hai" kehna aur pir chip k pakore khana, woh "ye koi khaane ki cheez hai" aur "accha thoda dena jara", woh aapka chai ka glass garden main bhool Ana aur mera kehna ki ab usska ped ugega, woh aapke bade bade sweater jaan booch k pehena, aur aur aur aap...

Sab bahut pyari yaadein hai :)

- a father's li'l daughter...